---------
Iss darbar me mein, aise hi nahi baitha hu
Mere paas tumhare har paap punya ka hisab hai
Jagat pita ke darbar se, sab ko apne bhagya ka fal, avashya milta hai
koi bhi abhakt, masumiyat ki chadar oodh kar, dusre ka maal yaha se nahi le ja sakta
apne kale karmo ki kalik, koi bhi humse chupa kar nahi rakh sakta
hamesha yaad rakho, ki parmatma hazar haton se deta hai, toh hazar aankhon se tumhe dekhta bhi hai
isliye, apne karm ko ujala rakho, ek bano, nek bano, aur sai darbar se jaisa tumhara karm hai waisa hi phal pane ke liye taiyar raho
apne kale karmo ki kalik koi bhi humse chupake nahi rakh sakhta
Mere sai ke darbaar me, sab logon ka khaata
Mere baba ke darbaar me, sab logon ka khaata
Jo koi jaisi karni kartaa..
Jo koi jaisi karni kartaaa, waisa hi phal paata
Mere sai ke darbaar me, sab logon ka khaata
Mere baba ke darbar me, sab logon ka khata
Kya sadhu kya sant grahasti, kya raja kya rani Sai ke pustak mein likkhi, sabki karam kahani (2)