Sai Baba

Sai Baba
!!! Sri Sachitanand Satguru Sainath Maharaj Ki Jai !!!

Thursday, May 29, 2014

Chinta Se Bhara Dil, Sai Ko Dede


Lyrics:
====
Chinta se bhara dil, sai ko dede(2)
Tujhe dono jahan ka, sukh chain milega
Phir pathjhad me bhi, teri bagiya me(2), sai rehmat ka, har phool khilega
Chinta se bhara dil, sai ko dede

Kabhi din ujilya, kabhi rain andheri, Kkabhi man hariyali, kabhi jholi khaali(2)
Woh sab kuch jaane, kab kya dena hai, har pag pe karega teri rakhwali
Tu pakad ke rakhiyo, vishwaas ki dori (2)
Woh jaha mila tha, phir wahi milega
Chinta se bhara dil, sai ko dede

Sweekar kiya hai, hume sai ne jab se, jag ko pehchaana, khud ko pehchaana(2)
Mushkil se mili hai, satgh-guru ki chowkhat, mushkil se mila hai, hume ek thikana
Lagta hai sabhi hum, kismat ke dhani hai(2), kaho aisi jagah se, abb kon hilega

Chinta se bhara dil, sai ko dede
Ho sakta hai ekk din tumhe neend aajyee, tum rom rom ko jara bhor ke rakhna(2),
Band bhi ho jaye jag ke darwaze, tum man ki khidki sada khol ke rakhna
Iss rat me sai, kab chupke chupke(2), apne bhakton se, khud aan milega
Chinta se bhara dil, sai ko dede(2)

Karmaon Ka Fal To Bande


Lyrics:
====
Karmaon ka fal toh bande, tujhe bhogna padega(2)
Lekin yeh sai shakti, kuch dard kam karegi (2)
kuch apne sar pe legi(2) Kuch tere sar rahega..
Karmaon ka fal toh bande tujhe bhogna padega(2)

Aaya hai tu jaha se, jayega tu wahi par(2),
Puchega aasman tab, tune kya kiya zameen par(2),
Tu abhi se soch rakhiyo(2), use kya jawaab dega.
Karmaon ka fal toh bande tujhe bhogna padega(2)

Auro ko kya diya hai, auro se kya liya hai(2),
Shikwo ke saath tune, kabhi shukr bhi kiya hai(2)
Jis din hisaab hoga(2), uss waqt kya karega
Karmaon ka fal toh bande tujhe bhogna padega(2)

Tan ki sajawaton me, jo mann ko bhul baitha(2),
Samjho ke apne sai, bhagwan ko bhul baitha.
Tera yeh haal hai toh (2) isi haal me rahega
Karmaon ka fal toh bande tujhe bhogna padega(2)
Lekin yeh sai shakti, kuch dard kam karegi (2)
Kuch apne sar pe legi(2) Kuch tere sar rahega..
Karmaon ka fal toh bande tujhe bhogna padega(2)



Followers